Ek shaam achanak

ISS Admin 2006-07-04 Comments
7,189

Shaam ke chhe baz rahe the. Main gharse nikla ke town me jaun aur kuchh saaman bagiarah kharidke le aau. Maine town ke bahar hi room bhade pe liya tha, kyon ki mujhe sahar ki bhid bhad pasand nahi aur phir town ke baharwale hisse me thand achhi hoti hai. To main apne bike pe jaa raha tha.

Samane raste ke side me ek mahila ko dekha, woh wahan akeli khadi thi aur sayed kisi town bus ka aneka intezaar kar rahi thi. Ab sunsaan sadak pe ek akeli aurat khadi ho yeh to acchha nahi lagta hai na. To maine gadi ko dheema kiya aur unke pass gadi rok ke bola, ”behen ji town jana chahti hai?”

Ab unhone to sir hilake ke han kari, to maine kaha, ”itni shaam ho gayii apko gadi kaise milega?” our woh idhar udhar dekhne lagi, maine kaha, ”behen ji aiye, mein us taraf hi jaa raha hu, apko kahin chhod dunga.” unhone mere taraf dekha. Darne ki koi wajah nahi thi, kyon ki maine unhe behen ji jo kaha tha, to woh mere gadi me ake baith gayee.

Ab woh hongi 34 ya 35 saal ki shadee shudaa aurat, mathe pe sindur tha, sayed ghar ka saaman lene nikli hongi. Maine kaha, ”itni shaam ko aap sahar kyon jaa rahi hai?” woh boli sauda karne. To main bola, kya aap humesha aise hi shaam ko shoping ke liye jati hai? To woh boli, han.

Mujhe ascharya hua, to woh boli mein akeli hun aur din bhar office me kaam rehta hai isiliye shaam kohi waqt milta hai shopping ke liye. Achha aisi baat hai. Main gadi chalane laga, aur hum bus thodi dur gaye the to unhone puccha, aap kya kaam karte ho, to maine kaha mein doctor hu.

Tabhi me bolu itna achha byavhar bhala aur koun kar sakta hai. Chalo aaj doctor saab ki gadi me lift mili hai i m lucky. Main has pada.Thodi hi dur gaye nahi the ki duniya bhar ki baatein karne lagi. Ab main akele rehta tha isiliye mujhse baate karne wala koi nahi tha, to mujhe bhi achha lag raha tha. Thodi der me hi bahut achhi dosti ho gayee.

Hum market me pahunche to woh boli, “doctor saab aapse phir kab mulaqat hogi?” main bola “kab matlab? Aap abhi kahin jaa rahi ho?” to woh boli “nahi, lekin main yahan shoping karungi aur phir jaungi. Aap ka to kahin kaam hoga.”ย  maine kaha, “nahi, main bhi yahan shoping krne aya hu aur iske baad phirse usi raste ghar chala jaunga, aap agar shoping khatam karlo to milke chale jayenge, main aap ko ghar ke pass drop kar dunga.” woh khus ho gayee.

Phir sabji aur masale bagairah kharid pharod hui, kareeb adhe ghante hum ek sath marketing karane ke baad ghar ki aur rawana huye. Woh phir se baate karni lagi, ke aap ke yahan koun koun hai aap ko kya khana achha lagta hai…..

Maine kaha “main to akele rehta hu yahan, rashoi khud hi karta hu, jo rukhi sukhi banta hai usise kaam chala leta hu” to woh boli “phir aap shadee kyon nahi karlete hai?” main has pada aur kaha “abhi to main bachha hun, bada ban jaun phir shadee karunga.” to woh bhi has padi aur boli “to aap bacchha doctor hai, kya?”

Aise hi baate karte huye hum unke ghar ke pass agaye the. Woh gadi se utari aur ghar ki chabi kholne lagi to maine unke saaman ko hath mein utha liya aur jaise hi unhone gate khola samman ko andar rakh ke bahar ane laga. Tabhi woh boli, “aap bahut jaldi main to nahi lagte doctor saab. Thodi der yahan aye humare sath baithe. Aap ne hamare liye shopping karwaya, hum aap ko ek cup chai bhi nahi denge to achha lagega kya?”

main bola, “aarre nahi, main to chai hi nahi pita.” woh has padi aur boli “oh main to bhul gayee thi aap to bachha doctor hai, to doodh to chalega na?” maina na kahdi. To bolne lagi, ” aap chai nahi pite doodh nahi pite to itna padhai kaise karte hai? Aap ka dhyaan padhai mein kaise lagta hai?”

Woh andar gayee to main deewaro pe tanga hua taswir ko dekha raha tha. Us kamare me kai aise taswir the jisse koi aam admi dikhana nahi chahega. Ladkiyon ke bhadkile taswire thi wahan. Par unhe achhi tarah se chhupane ke prayas kiye gaye the.

Main us aur dekh hi raha tha ki woh phir aagyee aur mere pass khadi ho ke kehne lagi, “kyon doctor saab anatomy ladkiyon ki padh rahe ho?” main sarma gayaa aur udhar se dhyaan hatane laga. Ab woh mere pass baith gayee aur mere hatho me bournvita ki glass thama di aur haste huye boli, “bachho ki pehli pasand, bournvita”.

Tabhi maine unse unke ware me puchha to boli, “mere pati army me hai, kabhi kabhi 5 ya 6 mahine me ek do baar ate hai jate hai. Bas unki paise se yeh ghar bana diya hai isiliye rehna padta hai. Meri ek beti hai, jo ab residential school me aathbi me padhti hai.

Aur mein yahan akeli rehti hu to naukri kar leti hu, socha ghar baith ke to pagal hi ho jaungi.” main sir hila ke unke baato ka samarthan kar raha tha. Bournvita khatam hua to woh boli, “doctor saab, main aap se ek request karun to chalega?” maine kaha han to boli, “aaj raat ka khana aap yahan hi khayenge.”

Ab main to waise hi rashoi karna nahi chahta tha to mana kaise karta, par gadi me sab samaan the to main unhe ghar pe rakh ke ane ka wada karte huye ghar chal pada. Raat ke sadhe aath bazne wale the tab main phir unke ghar ke saamne pahuncha to woh bahar hi baithi thi, mujhe dekhke boli, “main sochti thi aap ayenge ke nahi?” maine kaha “main ek baar kah du to usse thukrata nahi hu.”

raat ke khane me kuchh itna khas nahi tha, wahi roz wali roti, tadka diya hua daal fry aur thodi se sabji. Par woh sab achhi thi. Khana khane ke baad hum baithak me baith gaye, aur baato ka silsila chalta raha. Aare yar ladkiyon ki to yahi khwashiyat hoti hai, anjaan admise bhi ghanto baate kar lete hai. Aise baate chalti rahi par meri nazar deewaron pe chipki un taswiron pe jati rahi. Woh hasti par kuch nahi kahti. Mujhe bahut discomfort feel ho raha tha.

Agar aapko meri yeh kahani achhi lagi ho to mujhe jaruur mail karna. Mera e-mail id hai: [email protected]

What did you think of this story??

Click the links to read more stories from the category Desi or similar stories about , ,

Comments

Scroll To Top